Friday, October 19, 2012
TRUENESS..in true sense.....
what is TRUENESS??....th ans is simple..analyse th
deed performed by th person who is a priority in ur lyf
towards some other individual or even towards u...
nd if it hrts u or other so called individual then u r
quick on th judgement tat th deed performed is
not upto th mark of being a correct 1...nd th
same thng applies on u too as u also may be
th culprit at some point of time abt ur deed
wich u performed towards ur priority or any
other individual..in tat case u need u r quick to accept
tat wat u did wrong???nd u r quick nd aware of
towards tat deed.....4 me tat is th so called
TRUENESS which we want to know abt....so
desperatly...nd r constantly running behind it
from ages but we r unable to fetch it as some
correction in ourselves is required 4 tat...wich we dont
want to do as it needs generallistic approach towards th
issues around us which is mostly not there...nd if it is
we dont want to respect it...................SO SIMPLE..
do ahmiyat har us shaks ko jo hai tummhare kareeb...nhi to dooriyan bante jyaada der nahi lagti...
har koi ek sa nahi hai hota
har koi alag hai hota
ek doosre se..........
har kisi ka hai alag andaaz
jeene ka... har kisi ki
alag hai sonch zinadagi ke
baare men aur uske jeene
ke tareeke men....har koi
jeetkar aage hai jaana chahta
koi haar ka saamna hai
nahi karna chahta kabhi...
har kisi ki ankhon men hain
kuch acche se sapne
jise woh har haal me poora
karna hai chahta aur uske liye
hain uske mann men woh raaste
jo use hai paar karne akele
woh paane ke liye jiski hai
use tamanna usi samay se jab se
usne cheezon ko hai dekhna aur
samajhna shuru kiya...
har kisi ki hai kuch jimmedariyan
apno ke liye jinhee use poora
hai karna sabse jaroori......
par afsos koi nahi sonch raha
yeh sab, sab apne hisaab se sbko
rakhna chahte hai bana ke
jisse unki pehchaan rahe bani
par doosra apni alag pehchaan
hi sake na pa kabhi.......
aur isi galat aarzoo men har koi
kar raha hai yeh kaam ki
"yeh to maan nhi raha meri baat
chalo doosra iske jaisa
liya jaaye khoj koi........
jise hum apne jaisa bana saken"
aur isi khoj men bhatak hai raha
aur ho raha hai yeh anjaam
ki kisi ka hamshakal
to mil raha nahi kisiko aur
har koi khota ja raha hai
har us shaks ko jo uske hai saath..
aur jab hota hai ahsaas
is baat ka tab tak shayad
har koi apna door ho chuka hota hai ......
har kisi se itna jyaada ki
uska aana ya jaaana ab chahkar
bhi pehle jaisa nhi hai rah paata.....
isiliye shayad kaha hai jaata ki
riste tabhi chalte hai humesha
jab usmen samaantaaoon ko
nahi balki di jaati hai ahmiyat
un antaron ko jo hote hain aapas
men.....jisnne aisa karna hai
seekha khud se usne nahi hai
gawaaya kisi aise ko jo hai uska
khaas auron se jyaada......
isliye riston ki hai agar tamanna
to seekho buraai men bhi
pehchanna kisi chupi hui acchai ko
varna rahoge batakte is duniya
men isi sonch men
ki koun hai apna kise main
apna kahoon?? aur koun hai paraya jise
main karoon door khud se???...
jawab to in sawaloon ka raha
milna door,woh sawal bhi bhoola
se jaayenge jinke hisaab se
chaahoge jindagi ko jeetna aur
haansil karna us mukaam ko
jiski fariyaad hai tumhe kai arson se
khud ke liye...................
Subscribe to:
Posts (Atom)