Thursday, July 14, 2011

tanhaieeyon ka unpar humare liye rona ....kya hum bardaast kar payenge???

gujri hui yadon me kahi mera bhi jikra ayega
royengi kabhi unpar bhi tanhaiyan
jab unhe koi kissa yaad aayega
kaise mile aur kaise bichad gaye
ye sochna kabhi unko bhi rulayega
khade honge kabhi dahleej per vo
jab unhe hamara jaana yaad ayega
kahe na kahe kisi se vo par
unhe hamara manana yaad ayega
aaj woh bahut khush hain
doosron ke saath jis din
zinadagi ke safar mein akele honge
us din unhe humaara saath nibhana yaad ayega
kal tak jiske sath woh itne kareeb the
aaj uski kami se unhe doori ka  paimana yaad ayga
aj bade shouk se kahte hain woh ki hum galti nahi karte
jis din galti karenge unhe humara unki galtiyon ko bhulana
yaad aayega…..
kaash yeh sab unhe mere marne se pehle yaad aa jaye
nahi to humari kabr par unhe kisi ki khusi ke liye
kisi ka khamosh hoke mar jaana yad aayega
royenge to woh jaroor jab unhe unki khusi ke liye 
kisi ka duniya men chup chaap gum ho jana yad ayega
par isse bhi kya hoga pareshan woh honge 
aur unki  pareshani mein hume humara hi rona yad ayega
isliye humari tamanna hai ki anjaane mein bhi
woh hume yaad na karen kyunki unhe 
humari ummeend mein humara
phir se vapas aana yaad ayega …………….
Humara kya hai hum to jee lenge apni tanhaiyon mein
Par unhe apne gum ke andheron mein
phir se doob jaana yad aayega……
Unki bhi apni majbooriyan hain 
agar hum hi toot gaye to
Unhe humari khushiyon ke liye 
phir se toot kar bikhar jaana yad ayega
Aur hume humari khusi ke liye apna
matlab parasht ho jana yad aayega… 
royengi kabhi unpar bhi tanhaiyan
jab unhe gujra jamana yaad ayega !




No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.