Humne tamanna ki zindagi mein kisi ko paane ki,
usne kaha ki abhi fursat nahi hai hume tumhe samajh pane ki,
maine bhi hata liye apne kadam uski rahon se,
kyunki hume bhi aadat nahi kisi ki rahon mein,
bewajah apne armano ke kante bichane ki.................
phir acchanak aake mere samne woh bolta hai ki,
kya jaroorat hai itna ghamand dhikane ki?????
hume bhi aadat nahi kisi ko zabardasti gale lagane ki....
humne bhi hanskar bol diya ki,
jao jaroorat nahi itna itraane ki,
hume bhi jyada aadat nahi hai kisi ko manane ki....
kyunki aur bhi hai duniyaan mein,
jinhe fikar hai humare aane ki........................
yeh sach hai ki behad khoobsoorat ho tum,
par aisi khoobsoorti ka kya karoge...????
jab samajh hi nahi hai apne aur begaane ki.....
khoobsoorti hi dekhni hai to uski dekho,
jiske andar dam hai kisi ki,
ek arzoo ke liye tootkar bikhar jaane ki........
phir usne bola aise logon ko tameej nahi hai,
accha jeevan bitaane ki..........,
kya jaroorat hai kisi ki ek khwahish ke liye,
paagalon ki tarah mar jaane ki.....?????
zindagi ki to jaroorat hai ...................,
har ek pal ko khushiyon se manane ki.....
phir kya jaroorat hai kisi ki arzoo ke liye,
gam men tootkar bikhar jaane ki.......???
maine kaha ki yehi to ek farak hai,
soorat aur seerat jaise lafzon mein,
soorat ko humesha talaash rahti hai,
khushiyan paane ki.......................,
aur seerat bina kuch kahe hansil kar leti hai,
khud ke liye saari ahmiyat zamane ki.....
woh door rahkar bhi chodh jaati hai,
yaadon ke woh nishaan..............,
jisse insaan ki zindagi men ek umeed ban jaati hai,
use vapas andheron se cheen laane ki.......
par yeh sab tumhe kahan samajh men ayega...??
kyunki tumhe to aadat ho chuki hai...,
apni khoobsoorti par khud hi....,
akele muskurane ki.....................,
tumhaare pas fursat hi kahan hai,
khud ko kisi ke liye aajmaane ki....,
kyunki tumhe to khusiyaan chahiye,
saari zamaane ki aur bhikaarion ko,
to aadat hoti hai kisi bhi tarah kuch bhi paane ki...
khar hatao yeh sab baten ab hum kahte hain,
tumhari aukaat nahi hai hume hansil kar pane ki,
aur hume bhi koi jaroorat nahi hai jaan boojhkar,
khud hi gaddhe men gir jaane ki.......................
hum to aaaye the teri rahon men yeh sonchkar,
ki tujhe bhi jarrooorat hogi kis ka saccha pyaar paane ki..
khair yeh bhi waqt ka hi khel hoga,
ki ab tum bhatko ge duniya ki bheed men yeh sonchkar,
ki koi to hoga jise jaroorat hogi tumhara hanth pakadkar,
tumse bepanah pyar jatane ki................
par afsos ki teri umar gujar jayegi isi guroor mein,
ki tujhe kya jarroorat hai kisi ko manane ki???
tu to hai hi itni khoobsoorat ki tere kadmon men,
apne aap bicch jaayengi sari khushiyan jamane ki....
itna hone par bhi humari niyat nahi tujhe,
dukh pahunchane ki...............................
kyunki humne to tauba ki hai,
kisi ko sapnon mein bhi apni baton se,
na chot pahunchaane ki................
humaari yehi guzarish hai................,
ki tujhe mil jaayen sari khushiyan zamane ki,
kyunki har insan ko hak hai.............,
apni khushiyon ke mahal ko,
khud ke hisaab se sajane ki.........................
yehi sonch kar khush ho lenge hum ki.....
dosti mein bhi jaroorat hoti hai...........,
kis ek ke armano ke kurbaani ki...........
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.