Monday, August 1, 2011

zindagi ki raah ka andaz-e-bayan hum kuch is tarah batate hain ki.... anjan log bhi humare mureed ban jaate hain....

Zindagi ki raah men bahut se mod aate hain,
kisi mod par bahut sari khushiyan to kahin,
bahut saare gum hume apna saathi banaate hain,
par inko sonchkar hume apne kadmon ko,
bhatkaana nahi chahiye kyunki inhi modon ko paar karke,
log zindagi ko apna ghulaam banate hain....
aur jis din humne apni zindagi ko apna ghulaam bana liya,
hum ek acche insaan kahlaate hain,
jisse duniya waale khud ba khud ghabrate hain,
jo humaari rahon men jalan ke kante bichaate hain,
kyunki hum apni acchaiyon se unmen ek alag sa khouf banaate hain,
aur woh na chahte hue bhi humaare aage apna sar jhukaate hain,
aur is tarah woh apne khusi paane men naa kaamyab ho jaate hain...
unhe shaayad yeh pata nahi ki hum khamosh rahkar,
unke yeh kaarnaame isliye jhel jaate hain,
kyunki hum chote logon ko bewajah apne muh nahi lagate hain...
hum to jeetne aaye hain aur jeet ke hi jaayenge zindagi ki jung,
logon ke bichaaye hue kaante humaara vishwas,
aur majboot banate hain,
jise hansil karne ki zidd hum apne mein kuch is tarah late hain,
ki sare kaante hume phool bankar nazar aate hain.....
logon ke jalan ki hadd yahan bhi khatam nahi hoti hai,
woh aate hain humare kareeb aur humare dost ban jate hain,
aur jab samay ata hai apni dosti jataane ka,
palatvar karke nikal jate hain,
aur kahte hain ki hum dosti bhi dushmano ki tarah nibhate hain..
par isse bhi woh humara kuch nahi kar pate hain,
kyunki shayad unhe pata nahi ki hum bhi unhe isi tarah ajmaate hain,
humne to unhe ek mouka diya tha humaare vishwas ko haansil karne ka,
woh use bhi jalan mein jaan boojhkar gawate hain...........
kuch aise bhi hain jo apna bahut saara gussa dhikate hain,
par unhe kya pata hum to gusse ko bhi dawa samajhkar pi jate hain,
kyunki gussa karke bhi hum apna hi khoon jalaate hain,
agar use baccha len to apni mansikta ko aur accha banaate hain,
jise samajhne wale bina kuch poonche bina kuch bataaye,
humaari zindagi ki raah mein kahin na kahin se aa hi jate hain...
to ab batao kya kar liya tumne gussa karke????
use dekhkar to apne bhi door chale jate hain,
jahan se kabhi vapas nahi aate hain,
aur hum apne gusse ke sath zindagi ki rah mein akele rah jate hain..
hum maante hain hume kisi kaa saath pane men kaafi samay lag gaya,
par aise log hi zindagi bhar sath nibhate hain,
jinhe hum apni ahmiyat khud nahi batate hain,
par phir bhi woh hamare dil ki bat ko apne aap jaan jate hain....
unhe is baat ka andaza hai ki humare jaise hi log duniya mein,
apni ahmiyat ko khud ke bharose aur vishwas ko apne jeevan ka,
aadhar banakar jataate hain..............
aaj hume shouk nahi kisi ke saath ko jabardasti hansil karne ka,
kyunki hum jaante hai ki saath dena wale itne matlabi nahi hain,
aur unhe to aana hai aur woh ayenge,
bas yeh dekhna ki woh kis hadd tak hume aajmate hain,
aur unhe andessha hota hai ki hum,
unki zinadagi ki raah mein ek khas jagah banaate hain.......
meri apni is zindagi ki raah men sirf girlfrnd ya,
boyfrnd jaise log nahi aate hain,
balki woh sare insan aate hain jo hume apni,
zindagi ki raah ko sahi tarah se par karne ki,
apne karmon se dishaa dhikaate hain........
sach hai ki bahut dhoke hain,
is raah men par yehi dhoke aage chalkar hume,
humari sahi aur sateek pehchaan bataate hain,
jinka shukriya hum bandhe lafzon mein,
humesha apni apni jeet ki raah majboot kar,
logon ko apni bhaasa mein jataate hain...
ab kya dhoka doge humko hum to jeet gaye apni zindagi ki jung????
hum to aajma rahe the tumhe apni jeet ka mohra samajhkar,
aur tum samajh rahe the ki "yeh to gaya zindagi ki raah se",
par afsos ki hum tum jaison ko ajmaate hain kuch is tarah,
ki tumhe lagta hai ki tumne hume hara diya,
zindagi ki rahon mein, yehi sonchkar tum jaise logon ko lagta hai,
"hum log humesha jeette hain.....................",
aur ek hum hain to isi tarah apni jeet ka jashn manate hain...